Monday, November 9, 2009

Kamosh sa afsana

I like the song very much...


Kamosh sa afsana , paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Dil ki baat na pucho, dil to aata rahega
Dil behkata raha hai, dil behkata rahega,
Dil ko ho tumne kuch samjaha hota.

Kamosh sa afsana, paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Sahme se rahte hai jab yeh din dhalta hai
Ik diya bujta hai ik diya jalta hai,
Tumne kohi ho deep jalaya hota.

Kamosh sa afsana, paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Itne sahil dhonne, kohi na samne aaya
Jab majdhaar mein doobe, sahil same aaya,
Tumne sahil ko pahle bichaaya hota.

Kamosh sa afsana, paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Lamehe

Zindagi mein kuch aise bhi lamehe aate hai,
Mudke dekhe to ankhon se ashq bahtein hai.
Dil ke kisi kone mein chup jaati hai yaadein,
Yaad unko kar to log humko diwana kahte hai.

Saturday, November 7, 2009

Dost

Tumse doori ka ehsaas satata raha eh dost,
Tere saath guzara har lamha yaad aata raha eh dost,
Jab bhi tujhe bhulne ki koshish ki hai dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga eh dost.

Mohabbat

Kyon kohi chaha kar pyar nibha nahi pata,
Kyon kohi chaha kar rishta nibha nahi pata,
Kyon leti hai jindgai aisi karwat,
ki kohi chaha kar bhi pyar jaata nahi pata.....

Kamoshi

Kahna to bahut kuch chathe the unhe
Magar is Juban ne kehna na diya
Kabhi Waqt ki kamoshi mein kamosh rahe hum
To kabhi unki Kamoshi ne kuch kahne na diya