Tuesday, February 9, 2010

Tanha

Kab tanha kiya jindagi, ne iska pata hi na chala
Jo choot gaya bahut pahle, wo peece peeche chalta raha




Monday, February 1, 2010

Aansu

Pyaas nahi lagti ab paani peene ki
Lagata hein ab aadat ho gayi yu hi aansu peene ki
Paani to phir bhi pyaas buja deta hein
Par yeh behte aansu zindagi ki har aas par paani pher dete hei

Yaadein


Unki yaad badi satati hein
Har baat kuch beeti baatein doharati hein
Zindagi ka khel bhi ajeeb hein
Jise hum bhoolana chahate hein
Wanhi yaadein baar baar yaad aati hein

Monday, November 9, 2009

Kamosh sa afsana

I like the song very much...


Kamosh sa afsana , paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Dil ki baat na pucho, dil to aata rahega
Dil behkata raha hai, dil behkata rahega,
Dil ko ho tumne kuch samjaha hota.

Kamosh sa afsana, paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Sahme se rahte hai jab yeh din dhalta hai
Ik diya bujta hai ik diya jalta hai,
Tumne kohi ho deep jalaya hota.

Kamosh sa afsana, paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Itne sahil dhonne, kohi na samne aaya
Jab majdhaar mein doobe, sahil same aaya,
Tumne sahil ko pahle bichaaya hota.

Kamosh sa afsana, paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota.

Lamehe

Zindagi mein kuch aise bhi lamehe aate hai,
Mudke dekhe to ankhon se ashq bahtein hai.
Dil ke kisi kone mein chup jaati hai yaadein,
Yaad unko kar to log humko diwana kahte hai.

Saturday, November 7, 2009

Dost

Tumse doori ka ehsaas satata raha eh dost,
Tere saath guzara har lamha yaad aata raha eh dost,
Jab bhi tujhe bhulne ki koshish ki hai dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga eh dost.

Mohabbat

Kyon kohi chaha kar pyar nibha nahi pata,
Kyon kohi chaha kar rishta nibha nahi pata,
Kyon leti hai jindgai aisi karwat,
ki kohi chaha kar bhi pyar jaata nahi pata.....